Saturday, December 21, 2013

kam samajhdaar -jyada samajhdari

            Bat hai ek sham ki. Mai apani tatkalin nirdharit manjil kee or auto-rickshaw se jaa raha tha. Rickshaw full tha. Usame ek parivar tha jisame parents ke sath 4 bachchiyan bhi thee. Uname se ek jo sabase chhoti bachchi thi vo maa ki god me, jo dusare number ki sabase chhoti bachchi thi wo pita ki god me aur baki do jagah na milane kee vajah se khade hone ko majaboor thi.

       kuchh door chalane ke baad ek ki jagah khali hone par dono me se badi baith gai par dusari khadi hi thi. Apani bahan ko khada dekh pita ki god me baithi chhoti ladaki apane pair me baithane ka ishara karti hai.

          Yahi ek pal dil ko chhu jata hai. Unaka yah prem dekh kar mai mantra mugdh rah gaya. Tab ek khyaal mere dil me aaya ki agar bachchon me jo ki utane jyada samajhdaar nahi hote, itana jyada prem hota hai, par vahi jab bade ho jate hai, to na jaane prem bhul kar dwesh kaha se seekte hai.
       
          Seedha sa kaha ja sakata hai ki jo kam samajhdaar hai vahi jyada samajhdari dikhata hai, vahi doosari or isaka ulta hai.




yah experience hai 7-april 2013, sham 8:50 pm ka


J.K. Namdeo (JeeT)